Ab Main Kya Karoon
Sataara saal ka mein
Ghar se chal pada
Nai duniya anjaani disha
Bichde yaaron ki yaadein rulati thi mujhe
Jo Koi Tha na mera apna wahaan
Abh mein kya karun yeh meri zindagi
Ghar ki yaad jo chode na kabhi
Woh Dooriyan kam na ho sakin
Abh mein Kya Karoon ye meri zindagi
Jab khoya Jab dil Haara
Jab chaaya Andhiyara
Jab toota dil mera
Tera saath tera pyaar jode tukde tukde saath
Pass kar liye saare mushkil intehaan
Naukri ki Bheek mangli
Woh phal jo mehnat ka fisal ke gir gaya
Use mein chakh na saka o yaara
Abh mein kya karoon yeh meri zindagi
Kaam ka raazi hun par milta nahin
Moka bhi na deta hai koi
Abh mein kya karoon yeh meri zindagi
Likhta chala mein apne geet
Naaraz ho mujhse sabhi
Har koi rukne ko kehta
Par tu mere saath raha
Tune rukne jhukne na diya
Jab khoya Jab dil Haara
Jab chaaya Andhiyara
Jab toota dil mera
Tera saath tera pyaar
jode tukde tukde saath