top of page

Ijaazat Toh De De Zara

Ye ye…

 

Jo tha, kafi tha 

Khud mein hi khush tha

Manga na kuch bakhuda

 

Tune phailai roshni

Tare chup gaye 

Jaagi mere dil mein kami  

Barkat saari kum lage

 

Mein tere liye Aashiyan banaun

Apne hathon se sajaun

Ijaazat tho de de zara

Likhe hain maine khoob sare gaane 

Tere Khoobiyon pe saare 

In lafzon ko sun le zara 

 

Manzilein meri tho na badli

Sahil magar tu ban gayi

Raaste alag se chalnein hai

Manzilein jo teri jud gayi

 

Tu hi meri har arzoo

Tu hi Jaane Jaan

Tu hi meri hai justajoo

Har Dua ki Khwahish hai tu

 

Mein tere liye Aashiyan banaun

Apne hathon se sajaun

Ijaazat tho de de zara

Likhe hain maine khoob sare gaane 

Tere Khoobiyon pe saare 

In lafzon ko sun le zara 

Mein tere liye Aashiyan banaun

Apne hathon se sajaun

Ijaazat tho de de zara

Mein tere liye khoob gaane gaun

Is jahan ko mein sunaun

Ijaazat toh de de zara

 

Ye ye...

bottom of page